Javed Akhtar – Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai | जावेद अख़्तर – हर ख़ुशी में कोई कमी सी है | Ghazal

Please Share:
FacebookTwitterWhatsAppLinkedInTumblrPinterestEmailShare

Hindi Kala presents Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai Ghazal written by Javed Akhtar.

har-khushi-mein-koi-kami-si-hai-javed-akhtar-ghazal
Javed Akhtar – Har Khûshi Mein Koi Kami Si Hai

Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai Ghazal in Hindi

हर ख़ुशी में कोई कमी-सी है
हँसती आँखों में भी नमी-सी है

दिन भी चुप चाप सर झुकाये था
रात की नब्ज़ भी थमी-सी है
 
किसको समझायें किसकी बात नहीं
ज़हन और दिल में फिर ठनी-सी है
 
ख़्वाब था या ग़ुबार था कोई
गर्द इन पलकों पे जमी-सी है
 
कह गए हम ये किससे दिल की बात
शहर में एक सनसनी-सी है
 
हसरतें राख हो गईं लेकिन
आग अब भी कहीं दबी-सी है
 
जावेद अख़्तर

Javed Akhtar’s Ghazal in English Transcript

Har Khüshi Mein Koi Kami Si Hai
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai

Din Bhi Chup Chaap Sar Jhukaye Tha
Raat Ki Nabz Bhi Thami Si Hai

Kisko Samjhaye Kiski Baat Nahi
Zehan Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai

Khawab Tha Ya Gubaar Tha Koi
Gard In Palkon Pe Zami Si Hai

Keh Gaye Hum Yeh Kis-Se Dil Ki Baat
Sehar Mein Ek Sansani Si Hai

Hasrate Raakh Ho Gayi Lekin
Aag Ab Bhi Kahin Dabi Si Hai

Javed Akhtar

Best Deals of the day: Click Here

Tags:

Please Share:
FacebookTwitterWhatsAppLinkedInTumblrPinterestEmailShare

Leave a Reply