– गुलज़ार
यह कविता सुनिए फिल्म अभिनेता नाना पाटेकर की आवाज़ में 🙂
Tere Utare Huye Din, Tange Hai Lawn Mein Ab Tak
Na Woh Purane Huye Hai,..Na Unka Rang Utra
Kahin Se Koi Bhi Sivan..Abhi Nahi Udhdi
Ilaychi Ke Bahut Paas Rakhe Patthar Par
Zara Si Jaldi Sarak Aaya Karti Hai Chaanv
Zara Sa Aur Ghana Ho Gaya Hai Woh Podha
Main Thoda Thoda Woh Gamla Hatata Rahta Hoon
Fakeera Abhi Bhi Wahin, Meri Coffee Deta Hai
Gilhariyo Ko Bulakar Khilata Hoon Biscuit
Gihariya Mujhe Shaq Ki Nazar Se Dekhti Hai
Woh Tere Haatho Ka Mas Jaanti Hogi
Kabhi Kabhi Jab Utarti Hai Cheel Shaam Ki Chatt Se
Thaki Thaki Si ..Zara Der Lawn Mein Ruk Kar
Safed Aur Gulabi Masumbe Ke Podho Mein Ghulne Lagti Hai
Ki Jaise Barf Ka Tukdaa Pighalta Jaye Whisky Mein
Main Scarf Din Ka Gale Se Utaar Deta Hoon
Tere Utare Huye Din Pehan Ke Ab Bhi Main
Teri Mehak Mein Kai Roz Kaat Deta Hoon
Tere Utare Huye Din…
– Gulzar