Best Shayri on Waqt in Hindi | वक़्त पर शायरी हिन्दी में

Please Share:
5/5 - (1 vote)

Hindi Kala presents Shayri on Waqt in Hindi & English as well. ‘Waqt’ means means TIME in english. वक़्त पर शायरी हिन्दी में | shayari on time

shayri-on-waqt-in-hindi-and-english
Shayari on Waqt

वक़्त चलता रहा, जिन्दगी सिमटती गई,
दोस्त बढ़ते गए, दोस्ती घटती गई

Waqt Chalna Raha, Zindgi Simati Gayi,
Dost Badhte Gaye, Dosti Ghat-ti Gayi

वो जो तस्वीर लटकी है उस दीवार पे
घडी की तरह .. कभी कभी वक़्त बताती है

Woh Jo Tasveer Latki Hai Uss Deewar pe
Ghadi Ki Tarah.. Kabhi Kabhi Waqt Batati Hai

अब गए वक़्तों के किस्से मत सुना
आजकल ईमानदारी करके देख

Ab Gaye Waqto Ke Kisse Mat Suna
Aajkal Imaandari Karke Dekh

आदमी वो बड़ा नहीं लगता ,वक़्त से जो लड़ा नहीं लगता,
पर समेटे है मुद्दतों से ये ,ये परिंदा उड़ा नहीं लगता

Aadmi Woh Bada Nahi Lagta, Waqt Se Jo Lada Nahi Lagta
Par Samete Hai Muddato Se Yeh, Yeh Parinda Uda Nahi Lagta

waqt shayari in hindi

इस वक़्त का मिज़ाज कोई जान न पाया
आ जाए जो अपनी पे संभलने नहीं देता

Iss Waqt Ka Mizaz Koi Kaan Na Paya
Aa Jaye Jo Apni Pe Sambhalne Nahi Deta

कच्ची मिटटी है दिल भी, इन्सां भी देखने ही में सख्त लगता है
आंसू पोंछें तो आंसुओं के निशाँ खुश्क होने में वक़्त लगता है

Kacchi Mitti Hai Dil Bhi, Insaa Bhi Dekhne Hi Mein Sakht Lagta Hai
Aansoo Ponche To Aansuo Ke Nisha Khushk Hone Mein Waqt Lagta Hai

कौन कहता है वक़्त मरता नहीं
हमने सालों को ख़त्म होते देखा दिसम्बर में

Kaun Kehta Hai Waqt Marta Nahi
Humne Saalo Ko Khatam Hote Dekha December Mein

बहुत दिन हुए हम तीनों साथ नहीं मिले
…तुम, मैं और वक़्त …

Bahut Din Huye Hum Teeno Saath Nahi Mile
… Tum, Main aur Waqt

waqt status in hindi | shayri on waqt

नाजुक बहुत है वक़्त ख़ामोशी से रब्‍त कर ,
ग़ुस्‍सा हो, आह हो कि हंसी सब को जब़्त कर

Nazuk Bahut Hai Waqt Khamoshi Se Rabt Kar
Gussa Ho, Aah Ho Ki Hansi Sab Ko Jabt Kar

नुक्कड़ के उस मोड़ पे… वो बूढ़ा पेड़…
वक़्त को रोके … कब से खडा है

Nukkad Ke Uss Mod Pe, Woh Boodha Pedh,
Waqt Ko Roke… Kab Se Khada Hai

प्यार करने के लिए दोस्तो मुहलत है किसे
आज दो वक़्त की रोटी तो कमाए न बने

Pyaar Karne Ke Liye Dosto Mohlat Hai Kise
Aaj Do Waqt Ki Roti To Kamaye Na Bane

मत कर आसमान को छूने की तमन्ना
वक़्त इंसान से ज़मीन भी छीन लिया करता है

Mat Kar Aasmaan Ko Chhoone Ki Tamanna
Waqt Insaan Se Zameen Bhi Chheen Liya Karta Hai

waqt shayari 2 lines

मैं औरत ज़ात ठहरी हूँ, मुझे मस्जिद नहीं जायज़,
तुम पांच वक़्त जाते हो, ख़ुदा से मांग लो मुझ को” -परवीन शाकिर

Main Aurat Jaat Tehri Hoon, Mujhe Masjid Nahi Jayaz
Tum Paanch Waqt Jate Ho, Khuda se Maang Lo Mujhko – Parveen Shakir

लगा के वक़्त को ठोकर जो ख़ाकसार चले
यक़ीं के क़ाफ़िले हमराह बेशुमार चले।

Laga Ke Waqt Ko Thokar Jo Khaaksaar Chale
Yakeen Ke Kaafile Humraah Beshumaar Chale

वक़्त की शाख से उचक कर तोड़ी थी जो
सारी यादे पहली धूप मे पीली होकर मुरझा गयी
इन सूखे दिलो मे कब से पानी नही डाला तुमने ?
वक्त देता है ना जाने सबक कैसे कैसे
उम्र इतनी तो ना हैं,जितना सीख लिया हमने

Waqt Ki Shaakh Se Uchak Kar Todi Thi Jo
Saari Yaadein Pehli Dhoop Mein Peeli Hokar Murjha Gayi
Inn Sookhe Dilo Mein Kab Se Paani Nahi Daala Tumne
Waqt Dena Hai Na Jaane Sabak Kaise Kaise
Umra Itni To Naa Hai, Jitna Seekh Liya Humne

वो जिसकी बात में जादू बला का रहता था
बयाँ के वक़्त वही शख़्स बेज़ुबाँ निकला

Woh Jiski Baat Mein Jadoo Bala Ka Rahta Tha
Bayaan Ke Waqt Wahi Shakhs Bejubaan Nikla

shayari on time | shayri on waqt

हमारे सर पर ही वक़्त की तलवार गिरती है
कभी छत बैठ जाती है, कभी दीवार गिरती है

Hamare Sar Par Hi Waqt Ki Talwaar Girti hai
Kabhi Chhatt Baith Jati Hai, Kabhi Deewar Girti Hai

मैं वक़्त बन जाऊं तू बन जाना कोई लम्हा,
मैं तुझमें गुजर जाऊं तू मुझमें गुजर जाना।

Main Waqt Ban Jaun Tu Ban Jana Koi Lamha,
Main Tujhme Gujar Jau Tu Mujhme Gujar Jaana

गुजर गया वो वक़्त जब मुझे तेरी ‘हसरत’ थी
अब तू ‘खुदा’ भी बन जाये तो भी तेरा सजदा न करू

Guzar Gaya Woh Waqt Jab Mujhe Teri “HASRAT” Thi,
Ab Tu “KHUDA” Bhi Ban Jaye To Bhi Tera SAJDA Na Karu

Also Read: Shayari on Maa in Hindi माँ के लिए शायरी हिन्दी में

Please Share:

Leave a Reply