Jagjit Singh – Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka Lyrics in Hindi & English with Meaning (Translation) | Saleem Kausar | Ghazal | मैं ख़याल हूँ किसी और का

Please Share:
5/5 - (1 vote)

Saleem Kausar Ghazal Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka Lyrics in Hindi & English with meaning (Translation). The Ghazal is sung by various artists but the versions of Jagjit Singh, Mehdi Hassan, and Nusrat Fateh Ali Khan are famous.

saleem-kausar-ghazal-main-khayal-hoon-kisi-aur-ka-lyrics-in-hindi-and-english-with-meaning-translation
Khayal Hoon Kisi Aur Ka Ghazal
GhazalMain Khayal Hoon Kisi Aur Ka
AlbumEchoes
SingerJagjit Singh
MusicJagjit Singh
LyricistSaleem Kausar
ActorsNA

मैं ख़याल हूँ किसी और का मुझे सोचता कोई और है
सर-ए-आईना मिरा अक्स है पस-ए-आईना कोई और है

मैं किसी के दस्त-ए-तलब में हूँ तो किसी के हर्फ़-ए-दुआ में हूँ
मैं नसीब हूँ किसी और का मुझे माँगता कोई और है

अजब ए’तिबार ओ बे-ए’तिबारी के दरमियान है ज़िंदगी
मैं क़रीब हूँ किसी और के मुझे जानता कोई और है

मिरी रौशनी तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से मुख़्तलिफ़ तो नहीं मगर
तू क़रीब आ तुझे देख लूँ तू वही है या कोई और है

तुझे दुश्मनों की ख़बर न थी मुझे दोस्तों का पता नहीं
तिरी दास्ताँ कोई और थी मिरा वाक़िआ कोई और है

वही मुंसिफ़ों की रिवायतें वही फ़ैसलों की इबारतें
मिरा जुर्म तो कोई और था प मिरी सज़ा कोई और है

कभी लौट आएँ तो पूछना नहीं देखना उन्हें ग़ौर से
जिन्हें रास्ते में ख़बर हुई कि ये रास्ता कोई और है

जो मिरी रियाज़त-ए-नीम-शब को ‘सलीम’ सुब्ह न मिल सकी
तो फिर इस के मअ’नी तो ये हुए कि यहाँ ख़ुदा कोई और है



Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aaina Mera Aks Hai Pas-E-Aaina Koi Aur Hai

(I dwell in the imagination of one while another keeps me in his thoughts
In front of the mirror I am standing, but behind the mirror its someone else)

Main Kisi Ke Dast-E-Talab Mein Hoon To Kisi Ke Harf-E-Duaa Mein Hoon
Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Maangta Koi Aur Hai

(I’m under possession of someone, someone else makes the claims,
I’m destined to be with someone, but who begs for me is someone else)

Ajab Aitbaar-O-Beaitbaari Ke Darmiyaan Hai Zindgi
Main Kareeb Hoon Kisi Aur Ke Mujhe Jaanta Koi Aur Hai

(Life seems to straddle between a certain belief and disbelief
I am intimate with one but another actually knows (understands) me)

Meri Roshni Tere Khad-O-Khaal Se Mukhtalif To Nahi Magar
Tu Kareeb Aa Tujhe Dekh Loon Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai

(My gloss and luminosity isn’t different from yours description, yet
Come near, I want to see if you are the same or someone else)

Tujhe Dushmano Ki Khabar Na Thi Mujhe Dosto Ka Pata Nahi
Teri Daastaan Koi Aur Thi Mera Vaqiya Koi Aur Hai

(You didn’t know about your enemies, I am not aware of my friends
Your story was something, but my incident is something else)

Wahi Munsifo Ki Riwayatein Wahi Faislo Ki Ibaaratein
Mera Jurm To Koi Aur Tha Par Meri Saza Koi Aur Hai

(The same old traditions of judges and the same wrong decisions of the court
My offense was quite different, my sentence is something else)

Kabhi Laut Aaye To Poochna Nahi Dekhna Unhe Gour Se
Jinhe Raaste Mein Khabar Huyi Ki Yeh Raasta Koi Aur Hai

(When they return back, don’t ask just see them attentively
Those who found in the middle of the journey that this road is leading to somewhere else)

Jo Meri Rijayat-E-Neem-Shab Ko ‘saleem’ Subah Na Mil Saki
To Phir Iss Ke Maani To Yeh Huye Ki Yahan Khuda Koi Aur Hai

(Saleem, if my religious exercises at midnight don’t get rewarded
Then this will mean that the God here is someone else)


Who is the writer of ‘Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka’ Ghazal?

Saleem Kausar

Who is the singer of ‘Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka’ Ghazal?

Jagjit Singh, Mehdi Hassan and Nusrat Fateh Ali Khan versions are famous.

Jagjit Singh Ghazal ‘Main Khayal Hoon Kisi Aur Ka’ is from Which Album?

Echoes by Jagjit Singh


Tags:


Please Share:

Leave a Reply