Hindi Kala presents Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jati Hai Ghazal by Munawwar Rana.
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है
माँ दुआ करती हुई ख़्वाब में आ जाती है
रोज़ मैं अपने लहू से उसे ख़त लिखता हूँ
रोज़ उंगली मेरी तेज़ाब में आ जाती है
दिल की गलियों से तेरी याद निकलती ही नहीं
सोहनी फिर इसी पंजाब में आ जाती है
रात भर जागते रहने का सिला है शायद
तेरी तस्वीर-सी महताब में आ जाती है
(महताब = चांद)
एक कमरे में बसर करता है सारा कुनबा
सारी दुनिया दिले- बेताब में आ जाती है
ज़िन्दगी तू भी भिखारिन की रिदा ओढ़े हुए
कूचा – ए – रेशमो -किमख़्वाब में आ जाती है
(रिदा = चादर)
दुख किसी का हो छलक उठती हैं मेरी आँखें
सारी मिट्टी मेरे तालाब में आ जाती है
– मुनव्वर राना
In Roman Transcript
Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jati Hai
Maa Duaa Karti Huyi Khawaab Mein Aa Jati Hai
Roz Main Apne Lahoo Se Use Khat Likhta Hoon
Roz Unglee Meri Tezaab Mein Aa Jati Hai
Dil Ki Galiyon Se Teri Yaad Nikalti Hi Nahi
Sohni Phir Isi Punjab Mein Aa Jati Hai
Raat Bhar Jagte Rahne Ka Sila Hai Shayad
Teri Tasveer Si Mehtaab Mein Aa Jati Hai
Ek Kamre Mein Basar Karta Hai Saara Kunbaa
Sari Duniya Dil-E-Betaab Mein Aa Jati Hai
Zindgi Tu Bhi Bhikharin Ki Ridaa Odhe Huye
Koocha-A-Reshmo Kimkhwaab Mein Aa Jati Hai
Dukh Kisi Ka Ho Chhlak Uthti Hai Meri Aankhein
Sari Mitti Mere Talaab Mein Aa Jati Hai
– Munawwar Rana
Best Deals of the day: Click Here
Tags:
You Might Also Like