बदले बदले मेरे सरकार नज़र आते हैं – शकील बदायूँनी
बदले बदले मेरे सरकार नज़र आते हैं ।
घर की बरबादी के आसार नज़र आते हैं ।
मेरे मालिक ने मुहब्बत का चलन छोड़ दिया
कर के बरबाद उम्मीदों का चमन छोड़ दिया
फूल भी अब तो ख़ार नज़र आते हैं
घर की बरबादी के आसार नज़र आते हैं ।
डूबे रहते थे मेरे प्यार में जो शाम-ओ-सहर
मेरे चेहरे से नहीं हटती थी कभी जिनकी नज़र
मेरी सूरत से ही बेज़ार नज़र आते हैं
घर की बरबादी के आसार नज़र आते हैं ।
Badle Badle Mere Sarkar Nazar Aate Hai by Shakeel Badayuni
Badle Badle Mere Sarkaar Nazar Aate Hai
Ghar Ki Barbaadi Ke Aasaar Nazar Aate Hai
Mere Malik Ne Mohabbat Ka Chalan Chhod Diya
Kar Ke Barbaad Ummeedo Ka Chaman Chhod Diya
Phool Bhi Ab To Khaar Nazar Aate Hai
Ghar Ki Barbaadi Ke Aasaar Nazar Aate Hai
Doobe Rahte The Mere Pyaar Mein Jo Shaam-O-Shahar
Mere Chehre Se Nahi Hat-Ti Thi Kabhi Jinki Nazar
Meri Soorat Se Hi Bezaar Nazar Aate Hai
Ghar Ki Barbaadi Ke Aasaar Nazar Aate Hai
– Shakeel Badayuni
Glossary : Aasaar = Probability, Khaar = Spurs, Bezaar = Uninterested
You Might Also Like
Tags: